Sunday, 3 November 2013

Tasawur16.

Qabar valay halaat ko sudhara nahi kertay
    Achay log khud ko bigara nahi kertay.
      Murdon say na rakh koi umeed
Baglol zindon k liye hai quran majeed.

Zindagi zinda dili ka nam hai
 Subah k bad phir sham hai.

Zindon ki nahi murdon ki seva kertay hain
Jahil log qabron par pankhay jhaltay hain.

  Qabar valon nay aj tak kisi ko javab nahi diya
Khuda nay bagair vajah k kisi ko azab nahi diya.

Apnay hathon say apnay mabood bana rakhay hain
    Buton aur qabron par phol charha rakhay hain.

Sir par chadar nahi layti aur qabar par chadar charhati hai
              Rxxx ye aj ki aurat kya kya gul khilati hai.



Aj ka musalman toheed say hai bagi
Afsos dhonay k bavajod ye hai dagi.

    
    Naat parhi apnay liye kisi par ehsan nahi kiya
Aunchi lambi tarz laga kar koi musalman nahi kiya.
                Five Senses

Dosron ko tableeg kertay hain khud abhi musalman nahi
            Kalima to parh liya phir bhi ye insan nahi.
   Molvi banan to behtar ay ban ja mochi
Rxxx dojayan de khidmat kar na pey sochi.

 Namaz say falah milti to Hussain karbala na jatay
Sajday say bat banti to Hussain gardan na kata'tay.

      Alim bhi tha abid bhi tha
Shaitan bay chara zahid bhi tha.
Me gunehgar hun tujh say bat kerta ho ga tayra Rab
    Tun khud us say poch lay kyun kahan aur Kab.

      Jihad say kertay thay subah ka Agaz
Talvaron k saAy talay perhatay thay namaz.

Ain mashaq vilayat ki salahyat ka test hai
     Shaikh ki tavajo talib k liye best hai.
Jis par guzarti hai wohi janta hai
Har shaks har bat nahi manta hai.

Asal vali madarzad wali hai
Koi khuli koi band gali hai.

Kuch madarzad nay kuch nigahvan ton faiz paya
Kuch day andar Ism Allah nay mushk machaya.
Auliya ko nafsi salahyatain hasil hoti hain
Jis k zariye kahf-o-karamaat dikhatay hain.


Jida Ism Allah roshan ay oh noori huzoori ay
Onay khushbu ke lani oh tay ap kastoori ay.
Kalima parhanay ka aik tareqa rehnay nahi diya
      Nafi Asbat nay talib ka satya nash kiya.
Kalimay k hisay kar k kertay hain nafi asbat
   Doray hazir k sufi ki hai bus yehi auqat.
Kalima perhanay ka bhi koi aik tareqa rehnay na diya
        Kisi ko nafi kisi ko asbat kisi ko huzoori kiya.
Galat tareqa tasawur talib ko kerta hai gumrah
         Sari zindagi k liye phir nahi milti rah.
Talib ko chahiye chalay dhayan say
    Jalbazi say nahi itmenan say.
Galat tareqa tasawur say na kar salahiyat barbad
         Phir sari zindagi na ho ga batin Abad.





Musalman k mashvaray bhi musalman
          Sir say paon tak nuqsan.
Rasta maloom nahi aur rehbar bana huva hai
   Hai Punjab me aur khyber bana huva hai.

        
       Hamaray molvi ko hain do hi kam
Shor machana chanda layna aur phir aram.
Na me faqih hun na mula
Na me band hun na khula.


Khud abhi jaga nahi aur dosron ko sonay nahi dayta
     Aj ka ye molvi koi acha kam honay nahi dayta.

Ulti sedi daytay hain faqeer misalain
 Ye rang birangi khatay hain dalain.


Aj Ma ki good me madarzad wali kyun nahi khailta
  Aj ka peer Islam ki khatir sakti kyun nahi jhailta.

Landay nay jayray naray
     Ay jahil nay saray.
                Iqbal vs Shia


      ilaj chahay aik na ho ye satar ko rotay hain
Ye kaisay ajeeb log hain jagtay me bhi sotay hain.
Hava chalay tay keh dainday nay andhayri
   Ay log kikar nu keh dainday nay bayri.


Kaisay khatam ho ge logon ki jahalat
 Kon karay ga aisay logon ki vakalat.
    Yahan k logon ki soch par jahalat k pehray hain
Baglol shayad ye log isi liye andhay aur behray hain.


Ronay laga ronay na diya sonay laga sonay na diya
  Mujhay tum log ye bata do me nay jurm kya kiya.
Na khatam davana van na chol khavana van
Me tay Sain Aan sidyan sidyan sunana van.
Gunehgar shaks nu kuj ho jay tay kehnday nay gunavan de mar ay
  Naik nu kuj ho jay tay kehnday nay khuda nu eday naal pyar ay.


Rx dua qabool na ho to bahana aglay jahan ka bana laytay hain
   Wahan ye milay ga wo milay ga keh kar dil behla laytay hain.
Zikr kartay kartay mar gay par koi farishta na otra
 Ye mulk vaisay ka vaisa hi raha na huva suthra.
          Moot ho ya shadi mazaq banatay hain
HumsaAy ko tang kertay hain shor machatay hain.

     Jab dil hi kafir hai to kalima kya karay ga
Hazar bar bhi parh kar banda kafir hi maray ga.
      Ab to molvi bhi kertay hain atish bazi
Jashan mana kar kehtay hain khud ko gazi.

 Na jinaat say madad milti hai na farishton say
Insan ko madad milti hai insaniyat k rishton say.
       Naat bhi suntay hain ganay bhi gatay hain
Ye kaisay musalman hain darhi bhi mundatay hain.
Na dunyadari seekhi na seekhi deendari
   Seekhi bhi to kya seekhi chor bazari.


 Hamsayon ko tang kernay me hain taiz
Ye musalman na momin hain na angraiz.
  Na jena sekha na marna
Aay roz daytay hain dharna.
Har nai bat ko bana laytay hain deen ka hisa
      Akhir kya hai ye musalmano ka qisa.
Qabron par charag jalatay hain andhon ko imam banatay hain
Khud galat kaam kertay hain sharefon par ilzam lagatay hain.
Image result for tan ki dolat iqbal poetry pictures
Ay musalmano firqay na banao
Achai aur samajhdari ko apnao.
Auliya ki kitabon say nahi milti hidayat
 Fazal k bagir kabhi nahi milti vilayat.

Galat tareqa tasawur dimagh k liye hai fasad
    Ye talib ki salahiyat ko kerta hai barbad.
Na mashqe wajodia kam ki na nafi asbat
    Shaikh ki tavajo say hi banti hai bat.


Rajat honay par talib shaikh ka ho jata hai mohtaj
Phir ye kuch nahi kar sakta sivaAy kernay k ehtajaj.
         Ye wo kam nahi jo ho jaAy dua say
Kuch kam aisay hain jo hotay hain nigah say.
    Aj kal kahan miltay hain peer
Faqar ki rah chalnay valay faqeer.



Ye tasawuf nikalay ga tayri qabiliyat ka janaza
Ay talib sari zindagi tun bhugtay ga khamyaza.
        Na ye faqar na ye darvasihi
Peer muredon say layta hai maweshi.

Sehat mand peer aur das das khidmat guzaar
   Sain baglol aj k peer hain kitnay hoshyiar.
Faqar say khali tayray faqeer
  Darya dil nahi tayray peer.



  Rx amil hota to aurtain taveez dhaga karatin
Taveez bana kar Rx ki tasveer galay me latkatin.



Sadqay say kon se bala tali hai
   Rx jis bili ko diya wo pali hai.
Faqar k nam par faqeer kertay hain badmashi
Ye mureedon k pasion par kertay hain ayashi.
Talib mojood hai par shaikh na raha
Aj k faqeer nay kalimae haq na kaha.
Ameer hain aur kehtay hain khud ko faqeer
Subhan Allah zakat bhi nahi daytay ye peer.


Misal Umar farooq ki daytay hain
Molvi aur peer chanda laytay hain.
Jinaat say madad mangna vilayat nahi
Aqedat mandon ko lootna hidayat nahi.
     Jithay kam na avan khon day rishtay
Baglol othay ki madad karan gay farishtay.

    
   Na me banda na banda nawaz
Me hun ganda nahi perhata namaz.
               Kis kam da haj tay kis kam diyan namazan
Tayray humsaAy bhukay marday nay tun nahi sunda Avazan.


Shairee logon ko bat samjhanay ka behtareen zariya hai.Bhalu Shah.
  Na nabi ki taleem na rasool ki
Qabar ko pojna bat nahi usool ki.
Na nabi mazar banatay thay na qabron par mangnay jatay thay
 Wo bohat azeem thay logon ko khuda k banday banatay thay.


Musalmano ka kya hai jitni chahay eidain bana laytay hain

         Jab je chahay Islam ka mazaq ura laytay hain.
Kahan wo azeem sahabi aur kahan ye musalman sharabi
Wo qurbaniyan daytay thay ye paida kertay hain kharabi.


Sahaba peeri mureedi nahi kertay thay wo khuda say dartay thay
     Wo azeem thay Allah aur Rasool k hukm par chaltay thay.


 Wo shaikh hi kya jo tavajo na karay
Wo talib hi kya jo talab me na maray.

      
      Ye peer logon ko kertay hain gumrah
Dosron ko hadayaat aur apnay amaal sayah.
Tarkay jihad ki vajah pochi to kehnay laga khud say larta hun
   Jab kaha khul kar bata to kehnay laga moot say darta hun.



           Nafs ka bahana bana kar jihad tark kar diya
Musalmano ka bayra khud musalmano nay garq kar diya.
  Bhai bhai ka dushman hai dushman ki kya zaroorat hai
Andar say kitna daraona hai aur bahar say khob sorat hai.



Haal pochna aik bahana hai
    Pyar hi asal tarana hai.
 Faiz oh jayra vaday sahab da ay
Insaf oh jayra Umar khattab da ay.
Na aqal thikanay na dimag darust
    Wali hai faiz daynay me sust.
    Na me maliki na me hanbhli
Na me dagmagai na me sambhli.
Khuda ko ibadat ki zaroorat nahi hai
Khuda ki koi shakal-o-sorat nahi hai.
Jo faqeer kitabain likhay wo faqeer kam aur molvi zaida hai.
Bhalu Baglol.
Har shaks yahan peer bana huva hai
Faqar k bagair faqeer bana huva hai.
    Kitab aik hai Quran
Samajhnay me hai Asan.
Qabron say na irshad hota hai na talqeen
      Ay talib meri bat ka kar lay yaqeen.
   Faqar say khali hai faqeeron ki jholi
Dulhan k bagair othaAy huvay hain doli.
Borhay aur buzurg me farq na raha
  Peer nay talib say such na kaha.
Ye sufi insan nahi shaitan hai
  Insan k roop me hayvan hai.
Na me hanafi na me shafi
Na me chaAy na me coffee.
Apni bakshish kara na saka dosron ka janaza perhata hai
        Pyar say rehna na seekha dosron k sath larta hai.
       Qabar me baag ho ga par hum apna baag khud banain gay
Hum vatno hum apnay mulk me apnay hathon say darakt lagain gay.
 Bakshay wo bhi jatay hain jin ki qabar nahi banti
Sain baglol kya wo saray dozki hain nahi hain janti.
Baglol bat amaal ki hoti hai zaroori nahi kafan
Bakshay wo bhi jatay hain jo nahi hotay dafan.


Na me momin na firon
Baglol to phir me kon.
Zinda ke suntay nahi aur mar jaAy to qabar par tijarat kertay hain
Ye kaisay log hain aman say rehtay nahi qatlo garat kertay hain.
Idhar cigarette jalaya udhar nara lagaya
Kya Islam nay tujhay yehi kuch sekhaya.
Na laga paas anfaas say koi Aas
Ye tareqa tujhay nahi Aay ga raas.
Kya cigarette penay valay shaks k mun say bevi ko bu nahi ati
Rxxx to kehta hai cigarette penay valay k mun say bu nahi jati.

Ke zinda karay ga bay chara gyarvin vala murday
     Aj tak theek na kar sakya kisay day gurday.
      Wali ap bemar rehnday nay log kuch hore kehnday nay
Log valyan nu khuda samajhday nay eh taklefan sehnday nay.
Sain baglol jay gyarvin vala bayray taarda tan bayray na dubday
   Jinhan day peyran vich juti nahi ona nu kanday na chubday.
Jenday je qadar nahi kar day mar jAay tay moday otay chakday nay
  Sain baglol eh log bohat otray nay haray ke ke kufar bakday nay.
Ena peer hunda nahi jina log bana dainday nay
Gal hovay amal de tay kand dikha dainday nay.
  Khayrat vandi tay AgaAy saray ke apnay tay ke paraAy
Okha vayla aya tur gaAy saray ke apnay tay ke humsaAy.
Anparh jahil ganvaar tayray Vali
Kehnday nay sada peer ay ALi.
Char jamatan parh k karna ayn takabur
    Insan fair na banya eda vada tabar.
 Kadi cigarette baalda ay kadi naray landa ay
Ke Islam musalman nu eho kuch sikhanda ay.
               Hun tay qabran val mun kar k karday nay salam
Sain baglol apnay kolon hi banaya hoya ay musalmana nay Islam.
Na me mahjoob na me majzoob
Na me maktoob na me mahboob.

   
   Ye hai logon ki hikmat aur danai
Shadi k moqa par matam ki shehnai.
Ain Mashaq say khas kehfiyat paida hoti hai.Bhalu Baglol.
Auliya khud bay adab hain dosron ko kehtay hain adab karo
Khud jihad kertay nahi dosron ko kehtay hain nafs say laro.
Gustakhe Rasool bhi huzoori banay phirtay hain
      Naari bhi yahan noori banay phirtay hain.
Afsos qatil qalandar khud ko wali kehtay hain
   Ye kaisay ALi ke soahbat me rehtay hain.
Sabir piya jaison ko maloom nahi kya hai insaniyat
 Jahil sufiyon nay haiz ka nam rakh liya ruhaniyat.
Achai aur samajhdari k bagair vilayat bhi nuqsan
        Mil bhi jaAy to banda nahi banta Insan.
Har shaks me vilayat ki salahiyat nahi hoti.Bhalu Baglol.
Koi bevi jala dayta hai aur koi shadi hi nahi kerta
 Ye hai hamara wali jo sunnat par hi nahi chalta.
Har maqam andar shariyat
   Sufi karay ulti nasehat.
   Jo log auliya ko tang kertay hain
Aisay log khuda say jang kertay hain.
Acha kam kerna bhi sadqa hai.Bhalu Baglol.
Lesson ik nuqtay vich gal muqdi ay 
             Kadi gal sachi ve lukdi ay.
Huzoor ko daikh kar bhi abu jahal na huva zaheen
Baglol tun jo marzi kar lay shatan rahay ga Laeen.
Saudia Arab me paida kyun nahi hotay auliya jaisay banday
          Shayad ye dartay hain kahin par na jain danday.
Gadi Nasheen hai aj ka vali
Na ye sunnat na tareeq Ali.


Jo sufi huzoori ahadees bayan kertay hain
   Aisay sufi Islam ka nuqsan kertay hain.
Bemar yahan hakeem hain
   Jahil yahan aleem hain.
Kalima parh kar ho gaya musalman
        Kya parh kar ho ga Insan.
Na tun khudi say waqif na tun bay khudi say Agah
   To phir tun kaisay kehta hai ye hai nijat ke rah.
Ain mashaq tasawur ism Allah say geir mamoli nataij nikaltay hain.Bhalu Baglol.
   Sufi k mujahiday say ye zahir hai
Sufi ka mujahida shariat say bahir hai.
Jo shariat say bahar ho aisi riyazat
 Chahay kisi ki bhi ho nahi ibadat.
Huzoor ka nam likh kar mat likh kitab
Ay sufi ho ga tayra bohat sakat hisab.
Na tun huzoor na tujhay huzoori ki khabar
 Tun jahil sufi talibon par kerta hai jabar.
Tayray peer faqeer hain gumrah
  Rang safaid aur amaal sayah.
       Apni mashoori kerni ho to nam huzoor ka lay laytay hain
Logon say paisay laytay hain badlay me kuch na daytay hain.
Har pehalvan Bill Goldberg nahi ban sakta.Bhalu Baglol.



Paisay kha gai masjid gareeb kya karay
      Kal bhi merta tha aj bhi maray.
Tun kitna insan dost hai ye sabit ho gaya
     Zakat to de nahi haj kar k so gaya.
Zakat daytay nahi haj kernay jatay hain
Ye nam k musalman haji kehlatay hain.
      Na zakat daytay hain na kertay hain jihad
Halva khanay jatay hain kertay hain masjid Abad.
Sirf namaz perhana nahi Iman
  Zakat bhi day ay musalman.
Sahaba ki bhi kertay hain gustakhi
  Ye sufi kyun nahi mangtay mafi.
  Na zakat daytay hain na jihad kertay hain
Ye wo musalman hain jo apas me lartay hain.
Lota utha kar tableeg par nikal janay ka nahi farman
 Tun kab tak apnay ap ko dhoka day ga musalman.
Bus din rat dasbiyan ghumatay hain
Ye apnay mun momin kehlatay hain.
HumsaAy ki khabar nahi perhata hai quran
Me tujhay kya kahun musalman ya nadan.
HumsaAy k haqooq ke parvah na ke aur daynay chala Azan
         Na ye quran ke taleem aur na ye nabi ka farman.
Cigarette pe kar dhovan dosron k mun par chortay hain
     Ye aj k musalman najanay kitno ka dil tortay hain.
Bay khudi ke rah chalnay valay aksar hotay hain gumrah
       Sain baglol banda wohi hai jo ho khudi say Agah.
Visit  www.Tasawur17.blogspot.com